Fir samay tujhko na chhal jaaye kahin
Ye suawsar na nikal jaaye kahin
Aag lagne ka tamasha dekhna mat
Kal tera ghar bhi na jal jaaye
kahin
Jab pareshani me hai ye zindagi
Kal ki chinta me hai dooba har koi
Bhrast system ki kadahi me ubalta
Krodh tera na pighal jaaye kahin
Kab talak baithenge ab khamosh hum
Doosron ko denge kab tak dosh hum
Haath haathon se milakar dekh ,
shaayad
Teri kismat bhi badal jaaye kahin
Waqt ki aawaz ko pahchaan le
Kaun achchha ya bura hai jaan le
Bhrasht shasan ki jadon ko kaatne
ka
Faisla tera na tal jaaye kahin
Ye suawsar na nikal jaaye kahin
Sunil_Telang/06/08/2012
No comments:
Post a Comment