Thursday, August 2, 2012

CORRUPTION



CORRUPTION

Chaah to dil me bahut logon ki hai par
Saamne aane se kyon darte hain log
Ye corruption kar raha mushqil ye jeena
Maanne me kyon sharam karte hain log

Kuchh kamaai oopari kar log aksar
Sochte hain chal pada ye silsila
Chaar din ki chaandni se khush na hona
Sab chala jaayega ab tak jo mila
Bhrasht logon ka nateeja dekhkar bhi
Roz apni jeb kyon bharte hain log

Roz office se kamaakar jo bhi laaye
Haath me bibi ke sab kuchh rakh diya
Bibi bachchon ne bhi apna haq samajhkar
Shauk ki khaatir kharach sab kar diya
Aadhunikta ki is andhi daud me sab
Apne kharche kyon na kam karte hain log

Ye tarika kaargar hota nahin hai
Kyon magar hai ye zamane ka chalan
Aaj leke kal luta dena usi ko
Ban gaya hai tension ye kaala dhan
Competition aur laalach ke bhanwar me
Doob kar ke roz kyon  marte hain log

Sunil_Telang/01/08/2012

No comments:

Post a Comment