मरहम
ग़म तो हम को भी बहुत है ,सिर्फ तुझको ग़म नहीं
ये घडी मनहूसियत की, मौत से कुछ कम नहीं
साथ में तेरे खड़ा है, देश का हर इक युवा
कौन है ऐसा कि जिसकी आँख अब तक नम नहीं
मर मिटेंगे, सींच देंगे अब लहू से ये ज़मीं
फिर किसी नारी पे अत्याचार, मतलब हम नहीं
इक बुरा सपना समझ कर हादसा ये भूल जा
वक़्त से बढ़कर कहीं कोई बड़ा मरहम नहीं
ज़ख्म ये तेरे, वतन पर दाग हैं इक बदनुमा
अब गुनाहगारों को हो फांसी से कुछ भी कम नहीं

Sunil_Telang/24/12/2012
MARHAM
Gham to humko bhi bahut hai, Sirf tujhko gham nahi
Ye ghadi manhoosiyat ki , Maut se kuchh kam nahi
Saath me tere khada hai, Desh ka har ik yuva
Kaun hai aisa ki jiski, Aankh ab tak nam nahi
Mar mitenge, ab lahoo se seench denge ye zameen
Fir kisi naari pe atyachar , Matlab hum nahin
Ik bura sapna samajhkar, Haadsa ye bhool ja
Waqt se badhkar bada, Koi kahin Marham nahin
Zakhm ye tere, watan par daag hain ik badnuma
Ab gunahgaaron ko ho Faansi se kuchh bhi kam nahi

No comments:
Post a Comment