कुर्बानी
बुझ गया वो इक दिया, सब लोग शर्मसार हैं
सिर्फ वो छः ही नहीं, हम सब भी गुनहगार हैं
रोज़ की तरहा न क्यों ये सुबह आई आज की
पंछियों की चहचहाहट थी नये अंदाज़ की
आज बदली है फिजा,खामोशियाँ हर द्वार हैं
इक खबर देखी, सुनी,ग़मगीन सबको कर गई
देश की बेटी ,चहेती, लाडली इक मर गई
बज्र सा टूटा जिगर पर ,आंसुओं की धार हैं
क्रोध से उन्मत्त होकर देश ने की प्रतिक्रिया
आज भी इन्साफ़ ना दे पाये तो फिर क्या दिया
अब ना कोई आश्वासन , वायदे दरकार हैं
सिर्फ कानूनी ना खोजें रास्ता इस मर्ज़ का
कुछ करें अहसास हम भी अपने अपने फ़र्ज़ का
अब भी ना जागे तो ये कुर्बानियां बेकार हैं
Sunil_Telang /29/12/2012
KURBAANI
Bujh gaya wo ik diya, Sab log sharmsaar hain
Sirf wo chhah hi nahin, Hum sab bhi gunahgaar hain
Roz ki tarha na kyon ye subah aai aaj ki
Panchhiyon ki chahchahahat thi alag andaaz ki
Aaj badli hai fiza, khamoshiyan har dwaar hain
Ik khabar dekhi, suni, Ghamgin sabko kar gai
Desh ki beti, Chaheti ,Laadli ik mar gai
Bajra sa toota jigar par , Aansuon ki dhaar hain
Krodh se unmatt hokar desh ne ki pratikriya
Aaj bhi insaaf na de paaye to fir kya diya
Ab na koi aashwasan ,Vaayde darkaar hain
Sirf kaanooni na khojen,Raasta is marz ka

Kuchh karen ahsaas hum bhi apne apne farz ka
Ab bhi naa jaage to ye kurbaaniyan bekaar hain
Sunil_Telang/29/12/2012
Sunil_Telang/29/12/2012
No comments:
Post a Comment