AAJ BHI
Ho haseen tum, Naaznee tum, Khoobsurat shaayri tum
Tumko main kya kya pukaarun, Ban gaye ho zindagi tum
Har subah khwahish teri, Har shaam tere naam thi
Waqt kaisa aa gaya ye, Ajnabee hum Ajnabee tum
Chalte chalte raah badli,Dooriyan badhne lagi
Jaaane kaisa mod aaya, Ab kahi hum aur kahi tum
Aah me taaseer hogi, To karegi kuchh asar
Yaad mujhko hi karoge bhoolne ke baad bhi tum
Ho gaye ho tum juda, Par kah rahi hain hichkiyan
Roz laate ho zubaan par, Naam mera aaj bhi tum
Sunil_Telang/11/01/2013

आज भी
हो हसीं तुम, नाजनीं तुम, खूबसूरत शायरी तुम
तुम को मैं क्या क्या पुकारूं , बन गये हो ज़िन्दगी तुम
हर सुबह ख्वाहिश तेरी, हर शाम तेरे नाम थी
वक़्त कैसा आ गया ये, अजनबी हम अजनबी तुम
चलते चलते राह बदली, दूरियां बढ़ने लगी
जाने कैसा मोड़ आया ,अब कही हम और कहीं तुम
आह में तासीर होगी , तो करेगी कुछ असर
याद मुझको ही करोगे, भूलने के बाद भी तुम
हो गये हो तुम जुदा, पर कह रही हैं हिचकियां
रोज़ लाते हो जुबां पे, नाम मेरा आज भी तुम
Sunil_Telang/14/01/2013
No comments:
Post a Comment