PATTHAR JIGAR
Haadse na huye Bus khabar ho gaye
Hum bhi padh padh ke Patthar jigar ho gaye
Khud pe guzre na jab tak Koi gham nahi
Dard ke naale bhi Be-asar ho gaye
Aam logon ko tarjeeh koi na thi
Kitne mazloom bus Dar-badar ho gaye
Tantr laachar hai,Charagar kya kare
Maamle roz ke Dard-e-sar ho gaye
Kashmakash me hai Insaan jaaye kahaan
Ab khuda ke hawaale Shahar ho gaye
पत्थर जिगर
हादसे ना हुये, बस खबर हो गये
हम भी पढ़ पढ़ के पत्थर जिगर हो गये
खुद पे गुज़रे ना जब तक, कोई ग़म नहीं
दर्द के नाले भी बेअसर हो गये
आम लोगों को तरजीह कोई ना थी
कितने मजलूम बस दर-बदर हो गये
तंत्र लाचार है, चारागर क्या करे
मामले रोज़ के दर्दे-सर हो गये
कश्मकश में है इंसान जाये कहाँ
अब खुदा के हवाले शहर हो गये
Sunil_Telang/29/04/2013
No comments:
Post a Comment