MISAAL
Mujhse mila wo aise Jaise ik ajnabi ho
Jisne kabhi kaha tha Tum meri zindagi ho
Kaise use rulaoon Ilzaam-e-jafaa dekar
Wo mujhko bhool baitha Kaise mujhe yaki ho
Karta hai wo pareshaan Khwabon me roz aakar
Dekhoon main kaise uski Aankhon me bhi nami ho
Uski hansi me kitne gham mujhko nazar aaye
Shaayad nazar churana bhi Uski bebasi ho
Milti nahi jahaan me Uski misaal koi
Mumkin hai uske jaisa Duniya me na koi ho
मुझसे मिला वो ऐसे
जैसे इक अजनबी हो
जिसने कभी कहा था तुम मेरी ज़िन्दगी हो
कैसे उसे रुलाऊं इल्ज़ाम-ए-जफ़ा देकर
वो मुझको भूल
बैठा कैसे मुझे यकीं हो
करता है वो परेशां
ख़्वाबों में रोज़ आकर
देखूं मैं कैसे उसकी
आँखों में भी नमी हो
उसकी हँसी
में कितने ग़म मुझको नज़र आये
शायद नज़र
चुराना भी उसकी बेबसी हो
मिल्रती नहीं जहां में
उसकी मिसाल कोई
मुमकिन है उसके जैसा दुनिया में ना कोई हो
No comments:
Post a Comment