नसीहत
Gamo ki bheed hai Fir bhi Shikaayat main nahi karta
Pareshaan zindagi hai par Bagaawat main nahi karta
Ameeri ya garibi ho Ye sabki apni kismat hai
Sabhhi bande khuda ke hain Adaawat main nahi karta
Bhula kar bhi tujhe tere Khayaalon me main khoya hoon
Kahoon kaise ki ab tujhse Mohabbat main nahi karta
Ye kaisa ab kahar toota Hui barbaad ye basti
Kabhi chhedoon main kudrat ko Ye zurrat main nahi karta
Kabhi laachar aur bebas ki Aahon ko bhi sun lena
Hukmraano sambhal jaao Naseehat main nahi karta
परेशां ज़िन्दगी है पर, बगावत मैं नहीं करता
अमीरी या गरीबी हो, ये सबकी अपनी किस्मत है
सभी बन्दे खुदा के हैं, अदावत मैं नहीं करता
भुला कर भी तुझे तेरे, ख्यालों में मैं खोया हूँ
कहूं कैसे कि अब तुझसे, मोहब्बत मैं नहीं करता
ये कैसा अब कहर टूटा, हुई बर्बाद ये बस्ती
कभी छेडूँ मैं कुदरत को, ये जुर्रत मैं नहीं करता
कभी छेडूँ मैं कुदरत को, ये जुर्रत मैं नहीं करता
कभी लाचार और बेबस की आहों को भी सुन लेना
हुक्मरानो संभल जाओ, नसीहत मैं नहीं करता
हुक्मरानो संभल जाओ, नसीहत मैं नहीं करता
Sunil_Telang/19/06/2013
No comments:
Post a Comment