मेरे पापा
Pa mujhe bhi waqt dena do ghadi ka
Apne ghar me bhi hoon main mehmaan sareekha
Har subah jab apne main school jaata
Aap ko har waqt main soya hi paata
Poochh na paaye kabhi kya maine seekha
Aap ko fursat nahi apne hi ghar me
Ghoomte ho aap is poore shahar me
Par mere sang na bitaaya pal khushi ka
Aap ne har cheez ko daulat se tola
Meri chaahat par mera dil na tatola
Aap se badhkar nahi tohfa kisi ka
पा मुझे भी वक़्त देना दो घडी का
अपने घर में भी हूँ मैं मेहमां सरीखा
हर सुबह जब अपने मैं स्कूल जाता
आप को हर वक़्त मैं सोया ही पाता
पूछ ना पाये कभी, क्या मैंने सीखा
आप को फुर्सत नहीं अपने ही घर में
घूमते हो आप इस पूरे शहर में
पर मेरे संग ना बिताया पल ख़ुशी का
आपने हर चीज़ को दौलत से तोला
मेरी चाहत पर मेरा दिल ना टटोला
आप से बढ़कर नहीं तोहफा किसी का
Sunil_Telang/23/06/2013
No comments:
Post a Comment