ROSHNI
Raat kitni bhi ho gahri aur kaali
Subah ka sooraj andhere me khilega
Raah kitni bhi kathin ho ae musafir
Manzilen usko milengi jo chalega
Panchhiyon se seekh udne ka saleeka
Bahte rahna kaam hota hai nadi ka
Ruk gaya jo chalte chalte ye samajh
le
Uski kismet ka sitara bhi dhalega
Haar thak kar baithna mushqil nahin hai
Timtimaati roshni manzil nahin hai
Tu sitaaron par nazar rakh kar chala chal
Wo tujhe mil jaayega jo soch lega
Apni maa ke doodh ki tu laaj rakh le
Khoon ye paani nahin hai tu samajh le
Jagmagaata hi rahega naam uska
Roshni dene ki khaatir jo jalega
skt/07/07/2012
No comments:
Post a Comment