NAAM
Fir kisi Qaatil ko ab mat aur mauka deejiye
Dukhte zakhmon ko hara na fir dobara keejiye
Apni kismat ki ibaarat khud hi likhna theek hai
Gair ke haathon pe mat itna bharosa keejiye
Zindagi khushrang an-dheron me hai liptee hui
Jagmagati subah ki kirnon ko rasta deejiye
Jee liya tu apni khaatir ab dikha dariyadili
Jo zaroorat-mand hain dukh unka apna leejiye
Ye chaman, ye desh apna,hai patan ki raah par
Iski khaatir jaan dekar naam apna keejiye
(Ek nanhi bachchi MAHI ki yaad me )
skt/24/06/2012
No comments:
Post a Comment