Monday, May 28, 2012

USKI MARZI


USKI MARZI

Khoobsurat haseen chehron mein
Ab wafaa ka chalan nahin milta
Kabhi hokar khafa bane shola
Aur kabhi pyar inka shabnam hai

Yun to jalwon ki kuchh kami na thi
Unke jaisa magar mila na koi
Bhari duniya mein jee nahin lagta
Bekhudi ka azeeb aalam hai

Wo mohabbat ko dillagi samjhe
Humne bus unko zindagi mana
Log kahte hain is mohabbat mein
Gham hain zyada magar khushi kam hai

Pyar karna bhi uski marzi thi
Ab khafa ho gaya to kya gham hai
Dard mujhko agar diya to kya
Aankh uski bhi aaj pur-nam hai


skt/28/05/2012

No comments:

Post a Comment