Wednesday, May 30, 2012

AADMI




AADMI
Kiski khaatir ji raha hai aadmi
Ik tamasha hi raha  hai aadmi

Bhookh mahgaai garibi se ghira
Jeb apni si raha hai aadmi

Hukmranon ki nazar mein umr bhar
Ek fariyadi raha hai aadmi

Kho gayee insaniyat is bheed mein
Khoon apna pee raha hai aadmi

Zulm ki hai intehaa kuchh yaad kar
Inqilaabi bhi  raha hai aadmi

Sunil_Telang


Tuesday, May 29, 2012

DIL-E-NAADAN


Dil-e- Naadan

Is kadar rooth gaya hai ki wo
 khwabon mein bhi na aaya
Din mein bezaar kiya usne
           to raaton ko bhi sataya

Roz karta hai pareshaan
           ye     hawa    ka   jhonka
Uske aane ki sada dekar
   roz     darwaja       hilaya

Roz samjhata hoon khud ko
          ab use bhoolna hai achchha
Aur bechain hua dil
 jab   kabhi   usko   bhulaya

Kitna nadaan  hai dil
dhoondh raha hai tu khushi     
Dil laga kar bhi kisi ne
          kya kabhi chain hai paaya

इस   कदर   रूठ    गया   है 
कि वो ख़्वाबों में भी न आया 
दिन  में  बेज़ार  किया उसने 
तो   रातों   को   भी  सताया 

रोज़    करता     है     परेशां 
ये      हवा      का     झोंका 
उसके   आने  की सदा देकर 
रोज़       दरवाजा    हिलाया 

रोज़  समझाता  हूँ  खुद  को 
अब  उसे  भूलना  है  अच्छा 
और    बेचैन    हुआ    दिल 
जब   कभी   उसको भुलाया 

कितना   नादान   है    दिल 
ढूंढ     रहा    है   तू    खुशी 
दिल लगा कर  भी किसी ने 
क्या   कभी   चैन  है  पाया 


skt/29/05/2012

Monday, May 28, 2012

USKI MARZI


USKI MARZI

Khoobsurat haseen chehron mein
Ab wafaa ka chalan nahin milta
Kabhi hokar khafa bane shola
Aur kabhi pyar inka shabnam hai

Yun to jalwon ki kuchh kami na thi
Unke jaisa magar mila na koi
Bhari duniya mein jee nahin lagta
Bekhudi ka azeeb aalam hai

Wo mohabbat ko dillagi samjhe
Humne bus unko zindagi mana
Log kahte hain is mohabbat mein
Gham hain zyada magar khushi kam hai

Pyar karna bhi uski marzi thi
Ab khafa ho gaya to kya gham hai
Dard mujhko agar diya to kya
Aankh uski bhi aaj pur-nam hai


skt/28/05/2012

EHSAAN

                          
                        EHSAAN

Ek tum the haseen,ek main tha jawaan
Ishq hona hi tha , Jab ye  nazren milin

Kitne jalwon ne mujhko, bulaya magar
Meri zannat to thi, bus teri ik hansi

Sari duniya se tujhko, bacha kar rakha
Apni palkon ki chilman, mein ae hamnashin

Teri  khwahish ko samjha, khuda ka huqm
Tujhko rahne na di, maine koi kami

Par achanak hi kya, kaise, kab ho gaya
Tumne feri nazar, odh li khamoshi

Bewafaai teri thi, wo ya bebasi
Loot kar le gayee jo, meri har khushi

Kaise ehsaan tera, chukaoon sanam
Aansuon se jo bhar di, meri Zindagi


skt/28/05/2012

Friday, May 25, 2012

JANNAT

Jannat

Waadiyan itni ye khoobsurat na thi
Jab talak humko unse mohabbat na thi
Unki ik muskurahat se badli fiza
Ab mujhe koi khwahish-e-jannat na thi


वादियाँ   इतनी    ये    खूबसूरत   न   थीं 
जब  तलक हमको  उनसे मोहब्बत न थी 
उनकी  इक  मुस्कराहट  ने  बदली फ़िज़ा 
अब मुझे कोई ख्वाहिश-ए -जन्नत न थी 

Sunil_Telang

skt/19/05/2012
__________________

Friday, May 18, 2012

MUSKURAHAT




 MUSKURAHAT

Chehre pe muskurahat ummeed jagati hai
Ye zindagi haseen hai ehsaas dilati hai
Chhayee ho jab udaasi chehre pe ghum na lana
Tumko hi dekh kar to mahfil mein jaan aati hai



चेहरे पे मुस्कुराहट उम्मीद जगाती है 
ये  ज़िन्दगी हसीं है  एहसास दिलाती है   
छाई हो जब उदासी चेहरे पे ग़म न लाना 
तुमको  ही देख कर तो महफ़िल में जान आती है 

Sunil _Telang /18/05/2012

Wednesday, May 16, 2012

TANHAAI


                      Tanhaai

Teri yaadon ko bhoolne ke liye
Roj tujhko main yaad karta hoon
Apni tanhaaiyon se do baaten
Tere jaane ke baad karta hoon

 Mujhko maaloom hai kabhi gunche
Shaakh  se  toot  kar  nahin  khilte
Kyon baharon ki aas mein fir bhi
Koi tarkeeb izaad  karta hoon
                      
Aah  kitni  bhi  asar  rakhti   ho
Sang-dil    mom   nahin   ho   jaate
Naam  tera  jubaan  pe  la la ke
Apne dil ko main shaad karta hoon

skt/16/05/2012

Tuesday, May 15, 2012

KHAMOSHI




                                                          KHAMOSHI

 Meri khamoshiyan jubaan hain meri
            De   raha   dil   sadaa  ye   ro   ro  ke
   Saath tum the to ye jahaan tha mera
            Kho gayee har khushi tumhen kho ke

skt/15/05/2012

Tuesday, May 8, 2012

AANSOO



AANSOO

Shiddate ghum  hai, nahin koi tamanna  baki     
Intzaar kiska karoon, kaun hai apna baki

Ab to bus dard ka ehsaas hi batlata hai
Main hoon zinda, hai abhi aur tadapna baki

Sab ko azma bhi liya, dekh liya ro ro kar
Muskurati hoon magar, roj hai marna baki

Mere humdard mera saath nahin chhodenge
Dekhna hai kisi saazish ka panapna baki

Meri aankhon mein jo aansoo hain, wohi hain apne
Na  hai  ummeed koi aur na sapna baki


skt/08/05/2012


आंसू


शिद्दत -ए- ग़म    है , नहीं  कोई  तमन्ना   बाकी      
इंतज़ार  किसका  करूं , कौन  है  अपना   बाकी 

अब  तो  बस  दर्द  का  एहसास  ही  बतलाता  है 
मैं  हूँ  जिंदा , है  अभी  और  तड़पना  बाकी 

सब  को  आजमा भी  लिया , देख  लिया  रो  रो  कर 
मुस्कुराती  हूँ  मगर  , रोज  है  मरना  बाकी 

मेरे  हमदर्द  मेरा  साथ  नहीं  छोड़ेंगे 
देखना  है  किसी  साज़िश  का  पनपना  बाकी 

मेरी  आँखों  में  जो  आंसू  हैं , वोही  हैं  अपने 
ना  है   उम्मीद  कोई  और  न सपना  बाकी 


Sunil _Telang/11/10/2012


YE PAL



YE PAL

Ye khushi ka pal nahin fir aayega
Har koi masroof fir ho jaayega
Apni aankhon mein tu is pal ko basa le
Kal yahi pal daastaan ho jaayega

skt/07/05/2012

Monday, May 7, 2012

BEKHUDEE


Bekhudee

Itni    tanhaa  ho  gayi  hai   zindagi
Is qadar chhaayee hui thi bekhudee
Saamne  se  wo  guzar  ke  bhi  gaya
Aur  is  dil  ko  khabar bhi na huyee


skt/07/05/2012



Thursday, May 3, 2012

MOHABBAT

Mohabbat

Sun  rahe  sadiyon  se  hum
Toote    dilon    ki    daastan
Kyon   magar   rukta   nahin 
Ye    aashiqi     ka     kaafila

Do   palon   ki    hai   khushi 
Hai zindgi bhar ka  ye gham
Dard     feeke     pad    gaye
Par   jo  maza   ismen   mila

Ye  mohabbat  jeene  ka  hai  ik  sabab
Ruk   na  paaye  chahe  isko  roke  rab
Pyar   mein   Qurbaniyan    hoti    rahin
Fir    bhi   ruk  paaya  nahin  ye   silsila

Sunil_Telang

Wednesday, May 2, 2012

ZINDAGI

ZINDAGI

Saath   koi    humsafar   ho,  to   mazaa   hai  Zindagi
Aur agar tanhaai ho to, ik sazaa hai Zindagi
Unki aankhon mein rahen ik, khwab banke umr bhar
Wo jo nazron se gira den, to kazaa hai Zindagi
__________________

skt/02/05/2012

AITBAAR

                        
                                  AITBAAR
Kya haseen din the ek pal ke liye
Humko dekhe bina karaar na tha
Aaj   badli   hui   nigahen    hain
Aisa lagta hai jaise pyaar na tha


Uski baanhon mein uski aankhon mein
Sari    duniya   simatne   lagti        thi
Aaj   gairon   ke   sath   baithe    hain
Kya      use   mera    intzaar   na   tha


Ye  rasm  aur  riwaz    duniya  ke
Kitne  zaalim  samaj ke bandhan
Paas hote huye bhi door hain wo
Dil kabhi is tarah laachar na tha


   Ab  to  khwahish  hai saamne jaakar
Poochh loon main bus ek baar usse
 kya   zafaa   karna  shauk tha   uska
Ya   use   mujhpe   aitbaar   na  tha




skt/02/05/2012