
AITBAAR
Kya haseen din the ek pal ke liye
Humko dekhe bina karaar na tha
Aaj badli hui nigahen hain
Aisa lagta hai jaise pyaar na tha
Uski baanhon mein uski aankhon mein
Sari duniya simatne lagti thi
Aaj gairon ke sath baithe hain
Kya use mera intzaar na tha
Ye rasm aur riwaz duniya ke
Kitne zaalim samaj ke bandhan
Paas hote huye bhi door hain wo
Dil kabhi is tarah laachar na tha
Ab to khwahish hai saamne jaakar
Poochh loon main bus ek baar usse
kya zafaa karna shauk tha uska
Ya use mujhpe aitbaar na tha
skt/02/05/2012
No comments:
Post a Comment